dil par wafa ka bojh uThate rahe hain hum
dil par vafā kā bojh uThāte rahe haiñ ham
apnā har imtiyāz miTāte rahe haiñ ham
muñh par jo ye jale hue dāman kī raakh hai
sho.aloñ meñ zindagī ke nahāte rahe haiñ ham
itnā na khul sakā ki havā kis taraf kī hai
saare jahāñ kī ḳhaak uḌāte rahe haiñ ham
āñkhoñ se dil tak ek jahān-e-sukūt hai
sunte haiñ is dayār se jaate rahe haiñ ham
terā ḳhayāl māne-e-arz-e-hunar huā
kis kis tarah se jī ko jalāte rahe haiñ ham
kis kī sadā sunī thī ki chup lag ga.ī 'shahāb'
sātoñ suroñ kā bhed gañvāte rahe haiñ ham
dil par wafa ka bojh uThate rahe hain hum
apna har imtiyaz miTate rahe hain hum
munh par jo ye jale hue daman ki rakh hai
shoalon mein zindagi ke nahate rahe hain hum
itna na khul saka ki hawa kis taraf ki hai
sare jahan ki KHak uDate rahe hain hum
aankhon se dil tak ek jahan-e-sukut hai
sunte hain is dayar se jate rahe hain hum
tera KHayal mane-e-arz-e-hunar hua
kis kis tarah se ji ko jalate rahe hain hum
kis ki sada suni thi ki chup lag gai 'shahab'
saton suron ka bhed ganwate rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.