dil pareshan hua jab bhi tijarat kar li
dil pareshān huā jab bhī tijārat kar lī
aur kuchh aatā nahīñ thā so mohabbat kar lī
luuT saktā thā mujhe koī bhī daurān-e-safar
merī bas maañ kī du'āoñ ne hifāzat kar lī
avval avval to mire naam se raġhbat thī tujhe
kyā huā tū ne mire naam se nafrat kar lī
tere logoñ ne bahut tang kiyā jab ham ko
ham se bardāsht na ho paayā to hijrat kar lī
us ne thūkā hai mire pyaar pe 'hāshir-afnān'
mere yāroñ ne mire pyaar pe lā'nat kar lī
dil pareshan hua jab bhi tijarat kar li
aur kuchh aata nahin tha so mohabbat kar li
luT sakta tha mujhe koi bhi dauran-e-safar
meri bas man ki du'aon ne hifazat kar li
awwal awwal to mere nam se raghbat thi tujhe
kya hua tu ne mere nam se nafrat kar li
tere logon ne bahut tang kiya jab hum ko
hum se bardasht na ho paya to hijrat kar li
us ne thuka hai mere pyar pe 'hashir-afnan'
mere yaron ne mere pyar pe la'nat kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.