dil pe gar choT na lagti to na ishrat thi na gham
dil pe gar choT na lagtī to na ishrat thī na ġham
saaz ke parde se bāhar na nikaltā sargam
ham ko baḳhshā hai zamāne ne jahāñ bhar kā alam
tāb-e-ḳhurshīd se chhalnī huā qabl-e-shabnam
ab ye hālat hai ki vo ḳhud hue mā.il-ba-karam
aaj yaad aa.e bahut ham ko zamāne ke sitam
ḳhāk-e-parvāna dam-e-sub.h uḌī jaatī hai
khul na jaa.e kahīñ mahfil ke charāġhoñ kā bharam
jaise uushā kī laraztī huī pahlī aahaT
yuuñ tabassum tire hoñToñ pe hai darham barham
ḳhāliq-e-jūd-o-saḳhā ye to baḌī baat na thī
terī duniyā meñ tabassum ko taraste rahe ham
dil pe gar choT na lagti to na ishrat thi na gham
saz ke parde se bahar na nikalta sargam
hum ko baKHsha hai zamane ne jahan bhar ka alam
tab-e-KHurshid se chhalni hua qabl-e-shabnam
ab ye haalat hai ki wo KHud hue mail-ba-karam
aaj yaad aae bahut hum ko zamane ke sitam
KHak-e-parwana dam-e-subh uDi jati hai
khul na jae kahin mahfil ke charaghon ka bharam
jaise usha ki larazti hui pahli aahaT
yun tabassum tere honTon pe hai darham barham
KHaliq-e-jud-o-saKHa ye to baDi baat na thi
teri duniya mein tabassum ko taraste rahe hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.