Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil pe jaur-o-sitam garan na hue

Shakeel Nashtar

dil pe jaur-o-sitam garan na hue

Shakeel Nashtar

MORE BYShakeel Nashtar

    dil pe jaur-o-sitam garāñ na hue

    kaise kah duuñ vo mehrbāñ na hue

    haa.e yādoñ ke vo nuqūsh-e-hasīñ

    miT ga.e aur be-nishāñ na hue

    dekhne vaale sūrat-e-shabnam

    sūrat-e-bahr-e-be-karāñ na hue

    sochtā huuñ vo ashk kyā hoñge

    jo abhī zeb-e-dāstāñ na hue

    ġham to ye hai ki gulsitāñ meñ sab

    phuul kāñToñ ke darmiyāñ na hue

    mere sheroñ se zindagī ke raaz

    kuchh hue kuchh abhī ayaañ na hue

    log kuchh bhī kaheñ magar ham log

    rā.egāñ ho ke rā.egāñ na hue

    hausla dekh umr-bhar ham log

    zindagī tujh se bad-gumāñ na hue

    sāneha hai ki un mahfil meñ

    aaj 'nashtar' naġhma-ḳhvāñ na hue

    dil pe jaur-o-sitam garan na hue

    kaise kah dun wo mehrban na hue

    hae yaadon ke wo nuqush-e-hasin

    miT gae aur be-nishan na hue

    dekhne wale surat-e-shabnam

    surat-e-bahr-e-be-karan na hue

    sochta hun wo ashk kya honge

    jo abhi zeb-e-dastan na hue

    gham to ye hai ki gulsitan mein sab

    phul kanTon ke darmiyan na hue

    mere sheron se zindagi ke raaz

    kuchh hue kuchh abhi ayan na hue

    log kuchh bhi kahen magar hum log

    raegan ho ke raegan na hue

    hausla dekh umr-bhar hum log

    zindagi tujh se bad-guman na hue

    saneha hai ki un ki mahfil mein

    aaj 'nashtar' hi naghma-KHwan na hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now