dil pe kuchh aur zaKHm khane de
dil pe kuchh aur zaḳhm khāne de
kuchh mujhe aur muskurāne de
dekh sūraj nikalne vaalā hai
ho ga.ī sub.h mujh ko jaane de
jang dushman se ab zarūrī hai
teġh apnī mujhe uThāne de
qasr apne buland kar lekin
be-zamīnoñ ko bhī Thikāne de
rakh na yuuñ band saare darvāze
ḳhāna-e-dil meñ us ko aane de
ye luTāne se kam nahīñ hotī
daulat-e-harf hai luTāne de
ek chhoTī sī chhat hameñ bhī kahīñ
kahīñ ham ko bhī sar chhupāne de
har taraf tere shahr haiñ ābād
bastiyāñ kuchh hameñ basāne de
chheḌ mat un purāne qissoñ ko
baat bigḌegī chhoḌ jaane de
vo mirā hī rahegā log use
varġhalāte haiñ varġhalāne de
tesha Thahrā hai shart-e-‘ishq agar
haath mujh ko bhī āzmāne de
sab ko ā.indagāñ kī de sauġhāt
mujh ko guzre hue zamāne de
naql uslūb kī jo karte haiñ
un ko mazmūn bhī churāne de
she'r kī saltanat rahe daa.im
lafz-o-mā'nī ke vo ḳhazāne de
dil pe kuchh aur zaKHm khane de
kuchh mujhe aur muskurane de
dekh suraj nikalne wala hai
ho gai subh mujh ko jaane de
jang dushman se ab zaruri hai
tegh apni mujhe uThane de
qasr apne buland kar lekin
be-zaminon ko bhi Thikane de
rakh na yun band sare darwaze
KHana-e-dil mein us ko aane de
ye luTane se kam nahin hoti
daulat-e-harf hai luTane de
ek chhoTi si chhat hamein bhi kahin
kahin hum ko bhi sar chhupane de
har taraf tere shahr hain aabaad
bastiyan kuchh hamein basane de
chheD mat un purane qisson ko
baat bigDegi chhoD jaane de
wo mera hi rahega log use
warghalate hain warghalane de
tesha Thahra hai shart-e-‘ishq agar
hath mujh ko bhi aazmane de
sab ko aaindagan ki de saughat
mujh ko guzre hue zamane de
naql uslub ki jo karte hain
un ko mazmun bhi churane de
she'r ki saltanat rahe daim
lafz-o-ma'ni ke wo KHazane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.