dil pe lagta hai mohabbat ka ijara kam hai
dil pe lagtā hai mohabbat kā ijāra kam hai
ḳhaak meñ sū-e-falak jaane kā yaarā kam hai
in sitāroñ se pare ḳhvāboñ ko chhūne ke liye
fāsla itnā hai ye umr dobāra kam hai
Dūbtā jā.ūñ tirī yaad ke dariyā meñ kahīñ
paanī gahrā hai mohabbat meñ kināra kam hai
shab ke bhaTke hue mausam meñ koī samt-numā
DhūñD laao ki faqat ek sitāra kam hai
pahle lāzim hai ki is bahr ke pairāk bano
jo bhī Duubā hai use dil ne ubhārā kam hai
dil pe lagta hai mohabbat ka ijara kam hai
KHak mein su-e-falak jaane ka yara kam hai
in sitaron se pare KHwabon ko chhune ke liye
fasla itna hai ye umr dobara kam hai
Dubta jaun teri yaad ke dariya mein kahin
pani gahra hai mohabbat mein kinara kam hai
shab ke bhaTke hue mausam mein koi samt-numa
DhunD lao ki faqat ek sitara kam hai
pahle lazim hai ki is bahr ke pairak bano
jo bhi Duba hai use dil ne ubhaara kam hai
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 119)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.