dil pe uski hukmrani dekhiye kab tak rahe
dil pe us kī hukmrānī dekhiye kab tak rahe
ye karam ye mehrbānī dekhiye kab tak rahe
un kā ġham un kī mohabbat ġhair-fānī hī sahī
rishta-e-duniyā-e-fānī dekhiye kab tak rahe
shādmāñ haiñ aaj gulshan meñ bahār-e-nau se ham
ab ye daur-e-shādmānī dekhiye kab tak rahe
dil sukūñ-sāmāniyoñ meñ bhī sukūñ paatā nahīñ
ye tazād-e-zindagānī dekhiye kab tak rahe
ishq meñ nām-e-ḳhushī se Dūbne lagtā hai dil
ġham barā-e-shādmānī dekhiye kab tak rahe
mujh ko us par hai bharosa aur us ko ġhair par
ye yaqīñ ye bad-gumānī dekhiye kab tak rahe
apne har aañsū meñ 'shādāñ' ik kahānī hai nihāñ
be-haqīqat har kahānī dekhiye kab tak rahe
dil pe us ki hukmrani dekhiye kab tak rahe
ye karam ye mehrbani dekhiye kab tak rahe
un ka gham un ki mohabbat ghair-fani hi sahi
rishta-e-duniya-e-fani dekhiye kab tak rahe
shadman hain aaj gulshan mein bahaar-e-nau se hum
ab ye daur-e-shadmani dekhiye kab tak rahe
dil sukun-samaniyon mein bhi sukun pata nahin
ye tazad-e-zindagani dekhiye kab tak rahe
ishq mein nam-e-KHushi se Dubne lagta hai dil
gham bara-e-shadmani dekhiye kab tak rahe
mujh ko us par hai bharosa aur us ko ghair par
ye yaqin ye bad-gumani dekhiye kab tak rahe
apne har aansu mein 'shadan' ek kahani hai nihan
be-haqiqat har kahani dekhiye kab tak rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.