dil pe yaadon ka bojh tari hai
dil pe yādoñ kā bojh taarī hai
aaj kī raat kitnī bhārī hai
qaid kī tarah kāTte haiñ sab
kis ne ye zindagī guzārī hai
sar chhupā kar tire dupaTTe meñ
ḳhushbuoñ ne thakan utārī hai
aisī bhīnī mahak hai bātoñ meñ
jaise taaza guloñ kī kyārī hai
dil-lagī lamha-bhar kī hai lekin
zindagī-bhar kī be-qarārī hai
zulf-o-ruḳhsār kī ziyā le kar
ham ne apnī ġhazal sañvārī hai
chaah par kis kā zor hai ai 'atīb'
chaah to ġhair iḳhtiyārī hai
dil pe yaadon ka bojh tari hai
aaj ki raat kitni bhaari hai
qaid ki tarah kaTte hain sab
kis ne ye zindagi guzari hai
sar chhupa kar tere dupaTTe mein
KHushbuon ne thakan utari hai
aisi bhini mahak hai baaton mein
jaise taza gulon ki kyari hai
dil-lagi lamha-bhar ki hai lekin
zindagi-bhar ki be-qarari hai
zulf-o-ruKHsar ki ziya le kar
hum ne apni ghazal sanwari hai
chah par kis ka zor hai ai 'atib'
chah to ghair iKHtiyari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.