dil phir raha hai dard-e-mohabbat liye hue
dil phir raha hai dard-e-mohabbat liye hue
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
dil phir rahā hai dard-e-mohabbat liye hue
phirtī hai bad-nasīb ko shāmat liye hue
rakkhā rahegā husn jo jāñbāz uTh ga.e
baiThe rahoge chāñd sī sūrat liye hue
laao to maiñ hī is kī haqīqat ko dekh luuñ
hai kis qadar majāz haqīqat liye hue
talqīn-e-sabr-o-shukr hai vaa.iz kā mashġhala
kyā us kī guftugū hai nahūsat liye hue
maiñ be-niyāz huuñ mirā sāmān pūchhiye
baiThā huā huuñ raḳht-e-qanā.at liye hue
rah jā.egā kahāñ ye mirī ġham kī kyā bisāt
tum aa to jaao apnī masarrat liye hue
rahmat kahīñ tamām hī kar de na sab hisāb
jaa.e na hashr aa ke nadāmat liye hue
ai ahl-e-māl jaao to qārūñ se mil to lo
pūchho kahāñ chalā hai ye daulat liye hue
chakhnā hai sab ko zā.iqa-e-talḳh maut kā
ham tum haiñ 'ḳhushtar' ek hī dāvat liye hue
dil phir raha hai dard-e-mohabbat liye hue
phirti hai bad-nasib ko shamat liye hue
rakkha rahega husn jo jaanbaz uTh gae
baiThe rahoge chand si surat liye hue
lao to main hi is ki haqiqat ko dekh lun
hai kis qadar majaz haqiqat liye hue
talqin-e-sabr-o-shukr hai waiz ka mashghala
kya us ki guftugu hai nahusat liye hue
main be-niyaz hun mera saman puchhiye
baiTha hua hun raKHt-e-qanaat liye hue
rah jaega kahan ye meri gham ki kya bisat
tum aa to jao apni masarrat liye hue
rahmat kahin tamam hi kar de na sab hisab
jae na hashr aa ke nadamat liye hue
ai ahl-e-mal jao to qarun se mil to lo
puchho kahan chala hai ye daulat liye hue
chakhna hai sab ko zaiqa-e-talKH maut ka
hum tum hain 'KHushtar' ek hi dawat liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.