Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil pyar ke rishton se mukar bhi nahin jata

Vali Madni

dil pyar ke rishton se mukar bhi nahin jata

Vali Madni

MORE BYVali Madni

    dil pyaar ke rishtoñ se mukar bhī nahīñ jaatā

    shākī hai magar chhoḌ ke dar bhī nahīñ jaatā

    ham kis se kareñ sho.alagī-e-mehr shikva

    ai abr-e-gurezāñ to Thahar bhī nahīñ jaatā

    is shahr-e-anā meñ jo fasādāt na chhiḌte

    to pyaar ye shauq-e-safar bhī nahīñ jaatā

    vo fahm-o-farāsat diyā haath meñ le kar

    is daur-e-tashaddud se guzar bhī nahīñ jaatā

    is ek rassī ko agar thaam ke rahte

    phir apnī duāoñ asar bhī nahīñ jaatā

    ye ziist ke lamhe haiñ 'valī' qīmtī hiire

    kyuuñ koī baḌā kaam kar bhī nahīñ jaatā

    dil pyar ke rishton se mukar bhi nahin jata

    shaki hai magar chhoD ke dar bhi nahin jata

    hum kis se karen shoalagi-e-mehr ka shikwa

    ai abr-e-gurezan to Thahar bhi nahin jata

    is shahr-e-ana mein jo fasadat na chhiDte

    to pyar ka ye shauq-e-safar bhi nahin jata

    wo fahm-o-farasat ka diya hath mein le kar

    is daur-e-tashaddud se guzar bhi nahin jata

    is ek ki rassi ko agar tham ke rahte

    phir apni duaon ka asar bhi nahin jata

    ye zist ke lamhe hain 'wali' qimti hire

    kyun koi baDa kaam tu kar bhi nahin jata

    Source :
    • Book : Izhaar ki faslain (Pg. 74)
    • Author : wali madani
    • Publication : Maktaba-e-sadaf (2013)
    • Edition : 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now