dil raha hai KHarab-haal bahut
dil rahā hai ḳharāb-hāl bahut
yuuñ bhī guzre haiñ māh-o-sāl bahut
ai ġham-e-ishq terī umr darāz
tū ne rakkhā mirā ḳhayāl bahut
muñh ham apnā sā rah ga.e le kar
dil meñ thā shauq-e-arz-e-hāl bahut
un se tajdīd-e-rasm-o-rāh kī baat
hai to mumkin magar muhāl bahut
maiñ ne aksar sunī haiñ logoñ se
dāstāneñ bhī hasb-e-hāl bahut
haañ tumhārī magar misāl nahīñ
yuuñ to be-shak haiñ be-misāl bahut
tum hī 'afsūñ' nahīñ karachi meñ
aur bhī haiñ ḳharāb-hāl bahut
dil raha hai KHarab-haal bahut
yun bhi guzre hain mah-o-sal bahut
ai gham-e-ishq teri umr daraaz
tu ne rakkha mera KHayal bahut
munh hum apna sa rah gae le kar
dil mein tha shauq-e-arz-e-haal bahut
un se tajdid-e-rasm-o-rah ki baat
hai to mumkin magar muhaal bahut
main ne aksar suni hain logon se
dastanen bhi hasb-e-haal bahut
han tumhaari magar misal nahin
yun to be-shak hain be-misal bahut
tum hi 'afsun' nahin karachi mein
aur bhi hain KHarab-haal bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.