dil-ruba mujhko teri majburiyan achchhi lagin
dil-rubā mujh ko tirī majbūriyāñ achchhī lagīñ
'ishq jab had se baḌhā to dūriyāñ achchhī lagīñ
us ne pahle raat din hī ḳhuub taḌpāyā mujhe
sāmne jab aa gayā to shoḳhiyāñ achchhī lagīñ
dhuup kī shiddat meñ saarā din guzārā hai magar
mujh ko mehnat se milī do roTiyāñ achchhī lagīñ
dekh kar mujh ko pareshāñ jin ko miltī hai ḳhushī
mere pairoñ meñ paḌīñ ye beḌiyāñ achchhī lagīñ
hāl-e-dil maiñ ne sunāyā us ko rāhat mil ga.ī
lamha lamha us ko merī siskiyāñ achchhī lagīñ
aag ke laave meñ 'ātish' jal rahī thiiñ jhuggiyāñ
hukmarānoñ ko bhī us dam kursiyāñ achchhī lagīñ
dil-ruba mujh ko teri majburiyan achchhi lagin
'ishq jab had se baDha to duriyan achchhi lagin
us ne pahle raat din hi KHub taDpaya mujhe
samne jab aa gaya to shoKHiyan achchhi lagin
dhup ki shiddat mein sara din guzara hai magar
mujh ko mehnat se mili do roTiyan achchhi lagin
dekh kar mujh ko pareshan jin ko milti hai KHushi
mere pairon mein paDin ye beDiyan achchhi lagin
haal-e-dil main ne sunaya us ko rahat mil gai
lamha lamha us ko meri siskiyan achchhi lagin
aag ke lawe mein 'atish' jal rahi thin jhuggiyan
hukmaranon ko bhi us dam kursiyan achchhi lagin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.