Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-rubaon mein hai teri dilrubai bhi juda

Iqbal Salahuddin

dil-rubaon mein hai teri dilrubai bhi juda

Iqbal Salahuddin

MORE BYIqbal Salahuddin

    dil-rubāoñ meñ hai terī dilrubā.ī bhī judā

    vasl bhī terā judā terī judā.ī bhī judā

    karb-zār-e-dahr ke sahme hue lamhāt meñ

    mere aaqā hai tirī himmat-fazā.ī bhī judā

    raah terī jannatī jalvoñ se hai ārāsta

    rah-ravī terī judā hai rahnumā.ī bhī judā

    munfarid hai faiz-baḳhshī meñ tirā dast-e-karam

    aur salīqe meñ tire dar gadā.ī bhī judā

    haiñ tire darbār ke ādāb sab se muḳhtalif

    tere sang-e-āstāñ jab.ha-sā.ī bhī judā

    hai ibādat par bharosā ik judā tarz-e-amal

    arsh-e-a.azam tak vasīle rasā.ī bhī judā

    dil-navāzī meñ janāb-e-mustafā sab se alag

    jāñ-nisārī meñ hai un har fidā.ī bhī judā

    mujh ko hai 'iqbāl' ishq-e-mustafā se tarbiyat

    hai usī naate mirī mid.hat-sarā.ī bhī judā

    dil-rubaon mein hai teri dilrubai bhi juda

    wasl bhi tera juda teri judai bhi juda

    karb-zar-e-dahr ke sahme hue lamhat mein

    mere aaqa hai teri himmat-fazai bhi juda

    rah teri jannati jalwon se hai aarasta

    rah-rawi teri juda hai rahnumai bhi juda

    munfarid hai faiz-baKHshi mein tera dast-e-karam

    aur saliqe mein tere dar ki gadai bhi juda

    hain tere darbar ke aadab sab se muKHtalif

    tere sang-e-astan ki jabha-sai bhi juda

    hai ibaadat par bharosa ek juda tarz-e-amal

    arsh-e-azam tak wasile ki rasai bhi juda

    dil-nawazi mein janab-e-mustafa sab se alag

    jaan-nisari mein hai un ka har fidai bhi juda

    mujh ko hai 'iqbaal' ishq-e-mustafa se tarbiyat

    hai usi nate meri midhat-sarai bhi juda

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now