dil sahra aur aankh samundar yaad mein teri
dil sahrā aur aañkh samundar yaad meñ terī
ik hangāma ruuh ke andar yaad meñ terī
muddat guzrī ḳhushiyoñ se yārānā TuuTā
dukh hai musalsal ranj barābar yaad meñ terī
āñkheñ suunī zulfeñ bikhrīñ lab pe ḳhamoshī
haal huā hai bad se bad-tar yaad meñ terī
chāñd kā jhagḌā tāroñ se hai jaane kab se
tanhā dhartī tanhā ambar yaad meñ terī
shaam Dhale āñkhoñ se bārish rim-jhim rim-jhim
bhiig rahe haiñ takiya chādar yaad meñ terī
gard jamī hai galiyoñ meñ aur chaubāroñ meñ
dhuñdle dhuñdle saare manzar yaad meñ terī
terī 'sanā' hai tere binā kuchh aise zinda
ḳhud se ḳhafā rahtī hai aksar yaad meñ terī
dil sahra aur aankh samundar yaad mein teri
ek hangama ruh ke andar yaad mein teri
muddat guzri KHushiyon se yarana TuTa
dukh hai musalsal ranj barabar yaad mein teri
aankhen suni zulfen bikhrin lab pe KHamoshi
haal hua hai bad se bad-tar yaad mein teri
chand ka jhagDa taron se hai jaane kab se
tanha dharti tanha ambar yaad mein teri
sham Dhale aankhon se barish rim-jhim rim-jhim
bhig rahe hain takiya chadar yaad mein teri
gard jami hai galiyon mein aur chaubaron mein
dhundle dhundle sare manzar yaad mein teri
teri 'sana' hai tere bina kuchh aise zinda
KHud se KHafa rahti hai aksar yaad mein teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.