dil sair kuchh itna ho paimana nazar aae
dil sair kuchh itna ho paimana nazar aae
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
dil sair kuchh itnā ho paimāna nazar aa.e
jis samt nazar jaa.e mai-ḳhāna nazar aa.e
lāzim hai ki duniyā se begāna nazar aa.e
vo hosh kā paikar jo dīvāna nazar aa.e
sūrat kā tirī aalam dīvāna nazar aa.e
gar aañkh ko parde kā dhokā na nazar aa.e
achchhā hai jo phūloñ ko kāñTā na nazar aa.e
kyoñ ḳhuld ke bandoñ ko vīrāna nazar aa.e
bantā hai koī apnā is yaas kī zulmat meñ
jab ġham ke sivā koī yārāna nazar aa.e
ai sāqī-e-ḳhuddārī vo jaam pilā jis se
zāhid kī haqīqat bhī rindāna nazar aa.e
māhaul-e-pareshāñ meñ saada sī tamanna hai
har ā.īna ab rū-e-jānāna nazar aa.e
gar 'shād' rahā chāhe us chashm kā hāmil ban
tanvīr-e-haram jis meñ but-ḳhāna nazar aa.e
dil sair kuchh itna ho paimana nazar aae
jis samt nazar jae mai-KHana nazar aae
lazim hai ki duniya se begana nazar aae
wo hosh ka paikar jo diwana nazar aae
surat ka teri aalam diwana nazar aae
gar aankh ko parde ka dhoka na nazar aae
achchha hai jo phulon ko kanTa na nazar aae
kyon KHuld ke bandon ko virana nazar aae
banta hai koi apna is yas ki zulmat mein
jab gham ke siwa koi yarana nazar aae
ai saqi-e-KHuddari wo jam pila jis se
zahid ki haqiqat bhi rindana nazar aae
mahaul-e-pareshan mein sada si tamanna hai
har aaina ab ru-e-jaanana nazar aae
gar 'shad' raha chahe us chashm ka hamil ban
tanwir-e-haram jis mein but-KHana nazar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.