dil saKHt kar ke chalna aahon ko tham chalna
dil saḳht kar ke chalnā aahoñ ko thaam chalnā
bār-e-garāñ uThānā par be-lagām chalnā
jo rāsta kaThin ho to ḳhush-ḳhirām chalnā
jo rah-guzar ho lambī to tez-gām chalnā
kuchh log chal rahe haiñ shāyad tumhāre pīchhe
tum un ke naam chalnā tum apne naam chalnā
kuchh raushnī baḌhānā kuchh tīrgī chhupānā
kuchh mash'aleñ jalā ke kuchh bhar ke jaam chalnā
jab ham-safar hoñ dushman jab rahnumā ho barham
ruknā nahīñ tum un ko de kar salām chalnā
ye shams aur qamar to haiñ vaqt se hī chalte
tum qabl-e-sub.h chalnā tum bā’d-e-shām chalnā
lutf-e-safar ko chhoḌo raḳht-e-safar ko phūñko
'azm-e-safar kā kar ke bas ehtimām chalnā
'zarra' yahāñ pe manzil kis ko huī hai hāsil
tum be-maqām chalnā tum be-qayām chalnā
dil saKHt kar ke chalna aahon ko tham chalna
bar-e-garan uThana par be-lagam chalna
jo rasta kaThin ho to KHush-KHiram chalna
jo rah-guzar ho lambi to tez-gam chalna
kuchh log chal rahe hain shayad tumhaare pichhe
tum un ke nam chalna tum apne nam chalna
kuchh raushni baDhana kuchh tirgi chhupana
kuchh mash'alen jala ke kuchh bhar ke jam chalna
jab ham-safar hon dushman jab rahnuma ho barham
rukna nahin tum un ko de kar salam chalna
ye shams aur qamar to hain waqt se hi chalte
tum qabl-e-subh chalna tum ba’d-e-sham chalna
lutf-e-safar ko chhoDo raKHt-e-safar ko phunko
'azm-e-safar ka kar ke bas ehtimam chalna
'zarra' yahan pe manzil kis ko hui hai hasil
tum be-maqam chalna tum be-qayam chalna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.