dil sanbhalte sanbhalte sanbhal jaega
dil sañbhalte sañbhalte sañbhal jā.egā
ġham masarrat ke sāñche meñ Dhal jā.egā
aane vaale dinoñ par bharosa karo
har añdherā sahar meñ badal jā.egā
hākim-e-vaqt Dar āh-e-nādār se
us kī garmī se varna tū jal jā.egā
rāsta pur-ḳhatar hai sañbhal kar chalo
paañv varna tumhārā phisal jā.egā
marg-e-dushman pe kaisī ḳhushī dosto
dam hamārā bhī ik din nikal jā.egā
koī ġhuncha na toḌo kisī shāḳh se
bāġhbāñ kā kaleja dahal jā.egā
fikr 'lāġhar' kī be-sūd hai dosto
us kā ġham sher-o-naġhma meñ Dhal jā.egā
dil sanbhalte sanbhalte sanbhal jaega
gham masarrat ke sanche mein Dhal jaega
aane wale dinon par bharosa karo
har andhera sahar mein badal jaega
hakim-e-waqt Dar aah-e-nadar se
us ki garmi se warna tu jal jaega
rasta pur-KHatar hai sanbhal kar chalo
panw warna tumhaara phisal jaega
marg-e-dushman pe kaisi KHushi dosto
dam hamara bhi ek din nikal jaega
koi ghuncha na toDo kisi shaKH se
baghban ka kaleja dahal jaega
fikr 'laghar' ki be-sud hai dosto
us ka gham sher-o-naghma mein Dhal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.