dil se agar na hoga to hoga nigah se
dil se agar na hogā to hogā nigāh se
insān huuñ maiñ bach na sakūñgā gunāh se
yūsuf nikal to aa.e ho zindān-e-rāh se
tum kaise bach sakoge zuleḳhā kī chaah se
kaisī hai duniyā hote haiñ kyā duniyā-dār log
pūchho kisī faqīr se yā bādshāh se
jis kī hadoñ meñ jalte haiñ jibrīl ke bhī par
maiñ ho ke aa gayā huuñ usī jalva-gāh se
shā.ir kī qadr hai na koī shā.erī kā mol
miltā hai shā.erī kā sila vaah vaah se
apnī nazar kā husn hai aur kuchh nahīñ 'sirāj'
jis ko hasīn chāho banā do nigāh se
dil se agar na hoga to hoga nigah se
insan hun main bach na sakunga gunah se
yusuf nikal to aae ho zindan-e-rah se
tum kaise bach sakoge zuleKHa ki chah se
kaisi hai duniya hote hain kya duniya-dar log
puchho kisi faqir se ya baadshah se
jis ki hadon mein jalte hain jibril ke bhi par
main ho ke aa gaya hun usi jalwa-gah se
shair ki qadr hai na koi shaeri ka mol
milta hai shaeri ka sila wah wah se
apni nazar ka husn hai aur kuchh nahin 'siraj'
jis ko hasin chaho bana do nigah se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.