dil se be-chaargi-e-ishq zaban tak pahunchi
dil se be-chārgī-e-ishq zabāñ tak pahuñchī
haa.e majbūri-e-hālāt kahāñ tak pahuñchī
merī rūdād-e-alam un kī zabāñ tak pahuñchī
dil se niklī huī āvāz kahāñ tak pahuñchī
apnā to kaam hai paiġhām-e-mohabbat denā
ye nahīñ dekhte āvāz kahāñ tak pahuñchī
maiñ ḳhudā jaane mohabbat meñ kahāñ tak pahuñchā
aur duniyā mire qadmoñ ke nishāñ tak pahuñchī
koī afsāna nahīñ bantā haqīqat ke baġhair
dil se niklī to koī baat zabāñ tak pahuñchī
koī mafhūm na samjhā mire afsāne kā
sirf logoñ kī nazar husn-e-bayāñ tak pahuñchī
kyā kaheñge tujhe arbāb-e-mohabbat 'raunaq'
ishq kī baat agar lafz-o-bayāñ tak pahuñchī
dil se be-chaargi-e-ishq zaban tak pahunchi
hae majburi-e-haalat kahan tak pahunchi
meri rudad-e-alam un ki zaban tak pahunchi
dil se nikli hui aawaz kahan tak pahunchi
apna to kaam hai paigham-e-mohabbat dena
ye nahin dekhte aawaz kahan tak pahunchi
main KHuda jaane mohabbat mein kahan tak pahuncha
aur duniya mere qadmon ke nishan tak pahunchi
koi afsana nahin banta haqiqat ke baghair
dil se nikli to koi baat zaban tak pahunchi
koi mafhum na samjha mere afsane ka
sirf logon ki nazar husn-e-bayan tak pahunchi
kya kahenge tujhe arbab-e-mohabbat 'raunaq'
ishq ki baat agar lafz-o-bayan tak pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.