dil se dhaDkan KHun se azm-e-safar le jaega
dil se dhaḌkan ḳhuun se azm-e-safar le jā.egā
vaqt ik din chhīn kar saare hunar le jā.egā
haañ duā māñgī thī lekin ye to sochā bhī na thā
mausam-e-barsāt sab dīvār-o-dar le jā.egā
aaj is titlī ko in phūloñ pe uḌne dījiye
kal koī jhoñkā havā kā is ke par le jā.egā
tū kisī andhe kuñ.eñ meñ jaa.e to ye jaan le
saath saath apne ye merī bhī nazar le jā.egā
dūsroñ ke ghar meñ patthar pheñkne vaale ye soch
tū bachā kar kis tarah shīshe kā ghar le jā.egā
shahr kī saḌkoñ pe mere saath mat niklo abhī
jo bhī dekhegā uḌā kar ye ḳhabar le jā.egā
sar-bulandī jis kā mansab hai vo jhuk saktā nahīñ
dast-e-qātil us kā ḳhud neze pe sar le jā.egā
dil se dhaDkan KHun se azm-e-safar le jaega
waqt ek din chhin kar sare hunar le jaega
han dua mangi thi lekin ye to socha bhi na tha
mausam-e-barsat sab diwar-o-dar le jaega
aaj is titli ko in phulon pe uDne dijiye
kal koi jhonka hawa ka is ke par le jaega
tu kisi andhe kunen mein jae to ye jaan le
sath sath apne ye meri bhi nazar le jaega
dusron ke ghar mein patthar phenkne wale ye soch
tu bacha kar kis tarah shishe ka ghar le jaega
shahr ki saDkon pe mere sath mat niklo abhi
jo bhi dekhega uDa kar ye KHabar le jaega
sar-bulandi jis ka mansab hai wo jhuk sakta nahin
dast-e-qatil us ka KHud neze pe sar le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.