dil se dil hi na mile jab to bane baat hi kya
dil se dil hi na mile jab to bane baat hi kya
Mohammad Habeeb Habeeb
MORE BYMohammad Habeeb Habeeb
dil se dil hī na mile jab to bane baat hī kyā
ik nayā rang na ubhre to mulāqāt hī kyā
zindagī zinda ho raḳhshanda-o-pā.inda bhī ho
chand sāñsoñ se milī jaan kī sauġhāt hī kyā
apne aslāf ke ehsān bhulā kar un ko
ba.ad-az-marg diye bhī to ḳhitābāt hī kyā
kam se kam dījiye ik baar to mauqa ham ko
phuul sahrā meñ na khil jaa.eñ to phir baat hī kyā
ḳhūn-e-dil de ke kiyā un ke chaman ko shādāb
phir bhī kahte haiñ hameñ aap kī auqāt hī kyā
hirs kī aag meñ dul.han ko jalā dete haiñ
aise jallādoñ kī auqāt hī kyā zaat hī kyā
uf ye barsāt ki bah jaa.eñ ġharīboñ ke makāñ
ḳhuun rulvā.e jo barsāt vo barsāt hī kyā
qalb par naqsh na ban kar jo ubhar aa.eñ 'habīb'
aise ash.ār hī kyā aise ḳhayālāt hī kyā
dil se dil hi na mile jab to bane baat hi kya
ek naya rang na ubhre to mulaqat hi kya
zindagi zinda ho raKHshanda-o-painda bhi ho
chand sanson se mili jaan ki saughat hi kya
apne aslaf ke ehsan bhula kar un ko
baad-az-marg diye bhi to KHitabaat hi kya
kam se kam dijiye ek bar to mauqa hum ko
phul sahra mein na khil jaen to phir baat hi kya
KHun-e-dil de ke kiya un ke chaman ko shadab
phir bhi kahte hain hamein aap ki auqat hi kya
hirs ki aag mein dulhan ko jala dete hain
aise jalladon ki auqat hi kya zat hi kya
uf ye barsat ki bah jaen gharibon ke makan
KHun rulwae jo barsat wo barsat hi kya
qalb par naqsh na ban kar jo ubhar aaen 'habib'
aise ashaar hi kya aise KHayalat hi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.