dil se dil jab nahin mile phir to
dil se dil jab nahīñ mile phir to
dekhne-bhar haiñ rābte phir to
munqata' kar to leñ ta'alluq ham
mas.ale hal nahīñ hue phir to
ḳhud ko jab dekh hī nahīñ sakte
haiñ 'abas saare aa.ine phir to
naqsh achchhe nahīñ baneñge dost
jab badal jaa.eñ zāviye phir to
kyoñ shikāyat karūñ ki tanhā huuñ
munfarid jab hoñ rāste phir to
aap kah bhī rahe haiñ kuchh bolo
aur jab sun nahīñ sake phir to
niiñd gar aa bhī jaa.e furqat meñ
ḳhvāb meñ aa.e ratjage phir to
kyā kahā kuchh na kar sakūñgā maiñ
shukriya aap kā are phir to
saare tohfe nahīñ hue vāpas
vaqt lauTā na jab sake phir to
jaisī hālat meñ ḳhud-kushī kar lī
vaisī hālat meñ vo jiye phir to
dil se dil jab nahin mile phir to
dekhne-bhar hain rabte phir to
munqata' kar to len ta'alluq hum
masale hal nahin hue phir to
KHud ko jab dekh hi nahin sakte
hain 'abas sare aaine phir to
naqsh achchhe nahin banenge dost
jab badal jaen zawiye phir to
kyon shikayat karun ki tanha hun
munfarid jab hon raste phir to
aap kah bhi rahe hain kuchh bolo
aur jab sun nahin sake phir to
nind gar aa bhi jae furqat mein
KHwab mein aae ratjage phir to
kya kaha kuchh na kar sakunga main
shukriya aap ka are phir to
sare tohfe nahin hue wapas
waqt lauTa na jab sake phir to
jaisi haalat mein KHud-kushi kar li
waisi haalat mein wo jiye phir to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.