dil se dil ka rasta bhi aazmana chahiye
dil se dil kā rāsta bhī āzmānā chāhiye
ruuTh jaa.e koī to us ko manānā chāhiye
baad muddat ke vo mil jaa.e kisī mahfil meñ to
haal apnā bhī use phir kuchh sunānā chāhiye
zindagī jab chheḌ detī hai ġhalat dhun koī bhī
bahr yā phir qāfiya us meñ lagānā chāhiye
yuuñ to āñdhī meñ diyā raushan rahe mumkin nahīñ
kuchh mohabbat ke charāġhoñ ko jalānā chāhiye
vo tajāhul hai jo mujh se is tarah mahfil meñ ab
us kī is harakat ko chupke se chhupānā chāhiye
chhoḌ kar chāhe chalā jaa.e vo kuchh bole binā
apne hisse kī vafā ko bas nibhānā chāhiye
roz qāsid dekhtā rahtā huuñ qāsid kī Dagar
koī us kā bhī javābī ḳhat to aanā chāhiye
dil se dil ka rasta bhi aazmana chahiye
ruTh jae koi to us ko manana chahiye
baad muddat ke wo mil jae kisi mahfil mein to
haal apna bhi use phir kuchh sunana chahiye
zindagi jab chheD deti hai ghalat dhun koi bhi
bahr ya phir qafiya us mein lagana chahiye
yun to aandhi mein diya raushan rahe mumkin nahin
kuchh mohabbat ke charaghon ko jalana chahiye
wo tajahul hai jo mujh se is tarah mahfil mein ab
us ki is harakat ko chupke se chhupana chahiye
chhoD kar chahe chala jae wo kuchh bole bina
apne hisse ki wafa ko bas nibhana chahiye
roz qasid dekhta rahta hun qasid ki Dagar
koi us ka bhi jawabi KHat to aana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.