dil se dil ke waste paigham kaise aa gaya
dil se dil ke vāste paiġhām kaise aa gayā
mere hoñToñ par tumhārā naam kaise aa gayā
un kī mahfil meñ hamārā naam kaise aa gayā
aaj zikr-e-gardish-e-ayyām kaise aa gayā
dil sī shai ne kaise rasm-e-ārzū kar lī qubūl
tā.ir-e-aflāk zer-e-dām kaise aa gayā
log kahte haiñ masarrat zindagī kā naam hai
phir ye mujh par ziist kā ilzām kaise aa gayā
ishrat-e-ahd-e-guzashta kis tarah yaad aa ga.ī
haath meñ ā.īna-e-ayyām kaise aa gayā
shīsha-e-dil bas-ki nāzuk ishq kī mai tund-o-tez
tum pe ilzām-e-shikast-e-jām kaise aa gayā
fikr ke bādal jabīn-e-husn par 'ehsās' kyuuñ
ye sahar ke vaqt zikr-e-shām kaise aa gayā
dil se dil ke waste paigham kaise aa gaya
mere honTon par tumhaara nam kaise aa gaya
un ki mahfil mein hamara nam kaise aa gaya
aaj zikr-e-gardish-e-ayyam kaise aa gaya
dil si shai ne kaise rasm-e-arzu kar li qubul
tair-e-aflak zer-e-dam kaise aa gaya
log kahte hain masarrat zindagi ka nam hai
phir ye mujh par zist ka ilzam kaise aa gaya
ishrat-e-ahd-e-guzashta kis tarah yaad aa gai
hath mein aaina-e-ayyam kaise aa gaya
shisha-e-dil bas-ki nazuk ishq ki mai tund-o-tez
tum pe ilzam-e-shikast-e-jam kaise aa gaya
fikr ke baadal jabin-e-husn par 'ehsas' kyun
ye sahar ke waqt zikr-e-sham kaise aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.