dil se dilbar hamara hamdam hai
dil se dilbar hamārā hamdam hai
tan se jis tarah jaan bāham hai
qibla-ruḳh huuñ karūñ kidhar sajda
rū-ba-rū tāq-e-abrū-e-ḳham hai
ishq kā jab se maiñ kiyā saudā
dil kā asbāb saarā barham hai
bātinī mehrbānī har-dam hai
go mulāqāt-e-zāhirī kam hai
hai sadā ġham meñ āshiq-e-maulā
bul-havas ko faqat moharram hai
shikva mat kar tū chup raho 'ḳhāmosh'
ishq ke dard-o-ġham kā kyā ġham hai
dil se dilbar hamara hamdam hai
tan se jis tarah jaan baham hai
qibla-ruKH hun karun kidhar sajda
ru-ba-ru taq-e-abru-e-KHam hai
ishq ka jab se main kiya sauda
dil ka asbab sara barham hai
baatini mehrbani har-dam hai
go mulaqat-e-zahiri kam hai
hai sada gham mein aashiq-e-maula
bul-hawas ko faqat moharram hai
shikwa mat kar tu chup raho 'KHamosh'
ishq ke dard-o-gham ka kya gham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.