dil se hai dil ki be-kali goya
dil se hai dil kī be-kalī goyā
mudda.ā ḳhud hai mudda.ī goyā
ārzūeñ jo miT ga.iiñ dil kī
bharī duniyā ujaḌ ga.ī goyā
haa.e ye tūr-e-dil ye terī nazar
ek bijlī sī gir paḌī goyā
bin tire chaar sū hai vīrānī
maut hai zindagī mirī goyā
ab vo ḳhud mahv-e-chārasāzī haiñ
vaj.h-e-nāzish hai bekasī goyā
kyā bahār aa.ī sehn-e-gulshan meñ
aag sī dil meñ lag ga.ī goyā
vo nigāheñ badal ga.iiñ jab se
saarī duniyā badal ga.ī goyā
ishrat-e-aish ḳhvāb-gāh-e-adam
maut hai ek niiñd sī goyā
aa.ī tiflī shabāb par ai 'mauj'
ab samundar huī nadī goyā
dil se hai dil ki be-kali goya
muddaa KHud hai muddai goya
aarzuen jo miT gain dil ki
bhari duniya ujaD gai goya
hae ye tur-e-dil ye teri nazar
ek bijli si gir paDi goya
bin tere chaar su hai virani
maut hai zindagi meri goya
ab wo KHud mahw-e-chaarasazi hain
wajh-e-nazish hai bekasi goya
kya bahaar aai sehn-e-gulshan mein
aag si dil mein lag gai goya
wo nigahen badal gain jab se
sari duniya badal gai goya
ishrat-e-aish KHwab-gah-e-adam
maut hai ek nind si goya
aai tifli shabab par ai 'mauj'
ab samundar hui nadi goya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.