dil se hansne wale wo raKHshanda log
dil se hañsne vaale vo raḳhshanda log
kitne kam milte haiñ ab to zinda log
sonā ghanToñ ghanToñ aag meñ taptā hai
mehnat-kash hote haiñ sab tābinda log
ye mat samjho aaj hī un kī shohrat hai
puujo un ko ye hī haiñ ā.inda log
aisā toḌā sab ko zimmedārī ne
laash nazar aate haiñ saare zinda log
un ko bolo ġhalatī sab se hotī hai
vo kone meñ baiThe haiñ sharminda log
dil se hansne wale wo raKHshanda log
kitne kam milte hain ab to zinda log
sona ghanTon ghanTon aag mein tapta hai
mehnat-kash hote hain sab tabinda log
ye mat samjho aaj hi un ki shohrat hai
pujo un ko ye hi hain aainda log
aisa toDa sab ko zimmedari ne
lash nazar aate hain sare zinda log
un ko bolo ghalati sab se hoti hai
wo kone mein baiThe hain sharminda log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.