dil se ek aag ki diwar ubharti jae
dil se ik aag kī dīvār ubhartī jaa.e
ziina ziina shab-e-tanhā.ī utartī jaa.e
tum se milne kā jo barsoñ meñ kabhī aa.e ḳhayāl
har taraf fāsloñ kī ret bikhartī jaa.e
vaqt kī chaal ko ham ro ke raheñ kamre meñ
aur idhar raat andhā dhuñd guzartī jaa.e
taptā sahrā hai har ik shahr aur ummīd-e-sukūñ
ek badlī hai jo uupar se guzartī jaa.e
maiñ to auqāt ke phailāo meñ baḌhtā jā.ūñ
aur jo ik shai mire andar hai vo martī jaa.e
jaane kyā bhuut chhupe baiThe haiñ is āñgan meñ
raat jaa.e to vahāñ kāñptī Dartī jaa.e
vo nazar phuul khilātī chale pahlū pahlū
ban ke kāñTā sā diloñ meñ bhī utartī jaa.e
dil se ek aag ki diwar ubharti jae
zina zina shab-e-tanhai utarti jae
tum se milne ka jo barson mein kabhi aae KHayal
har taraf faslon ki ret bikharti jae
waqt ki chaal ko hum ro ke rahen kamre mein
aur idhar raat andha dhund guzarti jae
tapta sahra hai har ek shahr aur ummid-e-sukun
ek badli hai jo upar se guzarti jae
main to auqat ke phailao mein baDhta jaun
aur jo ek shai mere andar hai wo marti jae
jaane kya bhut chhupe baiThe hain is aangan mein
raat jae to wahan kanpti Darti jae
wo nazar phul khilati chale pahlu pahlu
ban ke kanTa sa dilon mein bhi utarti jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.