dil se ek dusre ke pyare hain
dil se ik dūsre ke pyāre haiñ
un ke ham aur vo hamāre haiñ
apnā dāman jo vo pasāre haiñ
mere aañsū bhī chāñd taare haiñ
be-ḳhudī bhī hai hoshiyārī bhī
chashm-e-sāqī ke kyā ishāre haiñ
ġhair ko dekh kar hameñ dekhā
tiir par tiir tum ne maare haiñ
husn parde meñ bhī nahīñ chhuptā
un ke chilman se bhī ishāre haiñ
vo hasīn un ke ham-jalīs hasīn
chāñd vo dūsre sitāre haiñ
bas yahī hāsil-e-mohabbat hai
tum ye kah do ki ham tumhāre haiñ
un kī āñkheñ haiñ DhūñDhtī 'nashtar'
jin ke āñkhoñ hī meñ nazāre haiñ
dil se ek dusre ke pyare hain
un ke hum aur wo hamare hain
apna daman jo wo pasare hain
mere aansu bhi chand tare hain
be-KHudi bhi hai hoshiyari bhi
chashm-e-saqi ke kya ishaare hain
ghair ko dekh kar hamein dekha
tir par tir tum ne mare hain
husn parde mein bhi nahin chhupta
un ke chilman se bhi ishaare hain
wo hasin un ke ham-jalis hasin
chand wo dusre sitare hain
bas yahi hasil-e-mohabbat hai
tum ye kah do ki hum tumhaare hain
un ki aankhen hain DhunDhti 'nashtar'
jin ke aankhon hi mein nazare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.