dil se ek pal bhi juda ho ye gawara hi nahin
dil se ik pal bhī judā ho ye gavārā hī nahīñ
ham ko ab dard se baḌh kar koī pyārā hī nahīñ
tere ġham ne kiyā ye haal ḳhushī hai is kī
ranj is kā hai ki ye haal hamārā hī nahīñ
ham jo marte haiñ mohabbat meñ to marne diije
is meñ marne ke 'alāva koī chārā hī nahīñ
aaj duniyā meñ baḌī baat hai iz.hār-e-vafā
kyā kareñ ham ko ye tauhīn gavārā hī nahīñ
ye to ik farz thā ai gesu-e-daurāñ apnā
ham ne ujrat ke liye tujh ko sañvārā hī nahīñ
aisā kuchh lutf milā 'ishq kī mazdūrī meñ
dard kā bojh kabhī sar se utārā hī nahīñ
ḳhuub āgāh taqāzā-e-junūñ se ham haiñ
kyā batā.eñ abhī mausam kā ishārā hī nahīñ
sharm hogī to ḳhud aa.egī palaT kar 'ājiz'
ham ne jaatī huī duniyā ko pukārā hī nahīñ
dil se ek pal bhi juda ho ye gawara hi nahin
hum ko ab dard se baDh kar koi pyara hi nahin
tere gham ne kiya ye haal KHushi hai is ki
ranj is ka hai ki ye haal hamara hi nahin
hum jo marte hain mohabbat mein to marne dije
is mein marne ke 'alawa koi chaara hi nahin
aaj duniya mein baDi baat hai izhaar-e-wafa
kya karen hum ko ye tauhin gawara hi nahin
ye to ek farz tha ai gesu-e-dauran apna
hum ne ujrat ke liye tujh ko sanwara hi nahin
aisa kuchh lutf mila 'ishq ki mazduri mein
dard ka bojh kabhi sar se utara hi nahin
KHub aagah taqaza-e-junun se hum hain
kya bataen abhi mausam ka ishaara hi nahin
sharm hogi to KHud aaegi palaT kar 'ajiz'
hum ne jati hui duniya ko pukara hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.