dil se kah do ki Dar na jae kahin
dil se kah do ki Dar na jaa.e kahīñ
ḳhushbuoñ sā bikhar na jaa.e kahīñ
dekh maiñ tujh meñ jī rahā huuñ bahut
dekh tū mujh meñ mar na jaa.e kahīñ
mushkiloñ se jise bigāḌā hai
ḳhauf hai vo sudhar na jaa.e kahīñ
tū ne dil ko bharā hai zaḳhmoñ se
dil hī ab tujh se bhar na jaa.e kahīñ
aane jaane se ye khulā ham par
aadmī sar-basar na jaa.e kahīñ
us ne va.ada kiyā hai Darte hue
Dar rahā huuñ mukar na jaa.e kahīñ
laakh 'shahbāz' khiḌkiyāñ khole
khol kar dil kā dar na jaa.e kahīñ
dil se kah do ki Dar na jae kahin
KHushbuon sa bikhar na jae kahin
dekh main tujh mein ji raha hun bahut
dekh tu mujh mein mar na jae kahin
mushkilon se jise bigaDa hai
KHauf hai wo sudhar na jae kahin
tu ne dil ko bhara hai zaKHmon se
dil hi ab tujh se bhar na jae kahin
aane jaane se ye khula hum par
aadmi sar-basar na jae kahin
us ne wada kiya hai Darte hue
Dar raha hun mukar na jae kahin
lakh 'shahbaz' khiDkiyan khole
khol kar dil ka dar na jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.