dil se kisi ki yaad bhulane chala tha main
dil se kisi ki yaad bhulane chala tha main
Anwar Nizami Jabalpuri
MORE BYAnwar Nizami Jabalpuri
dil se kisī kī yaad bhulāne chalā thā maiñ
jaltā huā charāġh bujhāne chalā thā maiñ
sharminda huuñ ye kah ke ulaT dījiye naqāb
mahshar se pahle hashr uThāne chalā thā maiñ
yā-rab junūn-e-ishq ne pahuñchā diyā kahāñ
kāñToñ ko bhī gale se lagāne chalā thā maiñ
qismat se aise daur bhī guzre haiñ bārhā
apne chaman ko aag lagāne chalā thā maiñ
ġham aur itnā ġham ki sukūñ naam ko nahīñ
aur apne dil ko us pe hañsāne chalā thā maiñ
allāh mere kufr-e-mohabbat kī ḳhair ho
but ke qadam pe sar ko jhukāne chalā thā maiñ
bijlī chamak ke merī nazar se guzar ga.ī
'anvar' jab āshiyāna banāne chalā thā maiñ
dil se kisi ki yaad bhulane chala tha main
jalta hua charagh bujhane chala tha main
sharminda hun ye kah ke ulaT dijiye naqab
mahshar se pahle hashr uThane chala tha main
ya-rab junun-e-ishq ne pahuncha diya kahan
kanTon ko bhi gale se lagane chala tha main
qismat se aise daur bhi guzre hain barha
apne chaman ko aag lagane chala tha main
gham aur itna gham ki sukun nam ko nahin
aur apne dil ko us pe hansane chala tha main
allah mere kufr-e-mohabbat ki KHair ho
but ke qadam pe sar ko jhukane chala tha main
bijli chamak ke meri nazar se guzar gai
'anwar' jab aashiyana banane chala tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.