dil se mahrumi-e-ehsas miTane ke liye
dil se mahrūmī-e-ehsās miTāne ke liye
gul khile haiñ mire zaḳhmoñ ko dukhāne ke liye
phir se āvāz ke dariyā meñ mire naam kī naav
bādbānoñ ko uThātī hai girāne ke liye
raat Dhaltī hai chalo DhūñD ke jugnū laa.eñ
vāda-e-anjum-o-mahtāb nibhāne ke liye
kuchh parinde mire āñgan meñ utar aa.e haiñ
bāl-o-par tez havāoñ se bachāne ke liye
sar se sūraj tirī chāhat kā Dhalā hai shāyad
mujh pe har sāya-e-dīvār girāne ke liye
apne jazboñ ko koī shakl na denā 'ābid'
varna sūrat ko bhī tarsoge dikhāne ke liye
dil se mahrumi-e-ehsas miTane ke liye
gul khile hain mere zaKHmon ko dukhane ke liye
phir se aawaz ke dariya mein mere nam ki naw
baadbanon ko uThati hai girane ke liye
raat Dhalti hai chalo DhunD ke jugnu laen
wada-e-anjum-o-mahtab nibhane ke liye
kuchh parinde mere aangan mein utar aae hain
baal-o-par tez hawaon se bachane ke liye
sar se suraj teri chahat ka Dhala hai shayad
mujh pe har saya-e-diwar girane ke liye
apne jazbon ko koi shakl na dena 'abid'
warna surat ko bhi tarsoge dikhane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.