dil se manzur teri humne qayaadat nahin ki
dil se manzūr tirī ham ne qayādat nahīñ kī
ye alag baat abhī khul ke baġhāvat nahīñ kī
ham sazā-vār jo Thahre to sabab hai itnā
hukm-e-hākim pe kabhī ham ne itā.at nahīñ kī
ham ne mālik tujhe maanā hai to sachchā maanā
is liye terī kabhī jhūTī ibādat nahīñ kī
dostī meñ bhī faqat ek chalan rakkhā hai
dil ne inkār kiyā hai to rifāqat nahīñ kī
tū ne ḳhud chhoḌā mohabbat kā safar yaad to kar
maiñ ne to tujh se alag ho ke masāfat nahīñ kī
jhuum uTThegā agar us ko sunā.ūñ jā kar
ye ġhazal maiñ ne abhī nazr-e-samā.at nahīñ kī
us ko bhī apne ravayye pe koī uzr na thā
ham bhī the apnī anā meñ so ri.āyat nahīñ kī
ye to phir tujh se mohabbat kā thā qissa mirī jaañ
mere kis fe.al pe duniyā ne malāmat nahīñ kī
tū ne charche kiye har jā mirī rusvā.ī ke
maiñ ne ḳhud se bhī kabhī terī shikāyat nahīñ kī
dostoñ ko bhī rahī vaqt kī qillat 'aḳhtar'
hāl-e-dil ham ne sunāne kī bhī aadat nahīñ kī
dil se manzur teri hum ne qayaadat nahin ki
ye alag baat abhi khul ke baghawat nahin ki
hum saza-war jo Thahre to sabab hai itna
hukm-e-hakim pe kabhi hum ne itaat nahin ki
hum ne malik tujhe mana hai to sachcha mana
is liye teri kabhi jhuTi ibaadat nahin ki
dosti mein bhi faqat ek chalan rakkha hai
dil ne inkar kiya hai to rifaqat nahin ki
tu ne KHud chhoDa mohabbat ka safar yaad to kar
main ne to tujh se alag ho ke masafat nahin ki
jhum uTThega agar us ko sunaun ja kar
ye ghazal main ne abhi nazr-e-samaat nahin ki
us ko bhi apne rawayye pe koi uzr na tha
hum bhi the apni ana mein so riayat nahin ki
ye to phir tujh se mohabbat ka tha qissa meri jaan
mere kis feal pe duniya ne malamat nahin ki
tu ne charche kiye har ja meri ruswai ke
main ne KHud se bhi kabhi teri shikayat nahin ki
doston ko bhi rahi waqt ki qillat 'aKHtar'
haal-e-dil hum ne sunane ki bhi aadat nahin ki
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 456)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.