dil se tere KHayal ko kaise bhulaen hum
dil se tire ḳhayāl ko kaise bhulā.eñ ham
ye aisī chiiz kab hai jise bhuul jaa.eñ ham
yuuñ bhī guzar hī jā.eñge lamhe hayāt ke
tum muskurāo anjuman-e-ġham sajā.eñ ham
o dene vaale ham ko ḳhushī de ki ranj de
lekin rahe ḳhayāl ki ghabrā na jaa.eñ ham
itnī ḳhushī na baḳhsh ki aañsū nikal paḌeñ
ġham bhī na is qadar hoñ ki hañsne na paa.eñ ham
rūThī huī hai maut bhī duniyā ke saath saath
ab aisī zindagī ko kahāñ le ke jaa.eñ ham
lillāh yuuñ nigāh-e-karam se na dekhiye
ġham chhin gayā to Dar hai kahīñ mar na jaa.eñ ham
marnā vaqār-e-‘ishq pe ‘ain-e-hayāt hai
'dānish' ajal se kis liye dāman bachā.eñ ham
dil se tere KHayal ko kaise bhulaen hum
ye aisi chiz kab hai jise bhul jaen hum
yun bhi guzar hi jaenge lamhe hayat ke
tum muskurao anjuman-e-gham sajaen hum
o dene wale hum ko KHushi de ki ranj de
lekin rahe KHayal ki ghabra na jaen hum
itni KHushi na baKHsh ki aansu nikal paDen
gham bhi na is qadar hon ki hansne na paen hum
ruThi hui hai maut bhi duniya ke sath sath
ab aisi zindagi ko kahan le ke jaen hum
lillah yun nigah-e-karam se na dekhiye
gham chhin gaya to Dar hai kahin mar na jaen hum
marna waqar-e-‘ishq pe ‘ain-e-hayat hai
'danish' ajal se kis liye daman bachaen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.