dil se tumhaari yaad bhulane chala hun main
dil se tumhārī yaad bhulāne chalā huuñ maiñ
lau aur sham-e-ġham kī baḌhāne chalā huuñ maiñ
behtar vo maut hai jo mile zindagī se duur
vīrāniyoñ meñ ḳhud ko luTāne chalā huuñ maiñ
bekār zindagī ye ḳhalish ke baġhair thī
haath apnā hādsoñ se milāne chalā huuñ maiñ
phir Dūbne chalā huuñ kisī kī nigāh meñ
phir hosh kho ke hosh meñ aane chalā huuñ maiñ
sham.eñ jalā ke ārzūoñ ke mazār par
barbādiyoñ kā jashn manāne chalā huuñ maiñ
nākām hasratoñ ke janāze liye hue
duniyā ko apne zaḳhm dikhāne chalā huuñ maiñ
Thukrā ke aaj saare sahāroñ ko ai 'shafīq'
ḳhud apnī bigḌī aap banāne chalā huuñ maiñ
dil se tumhaari yaad bhulane chala hun main
lau aur sham-e-gham ki baDhane chala hun main
behtar wo maut hai jo mile zindagi se dur
viraniyon mein KHud ko luTane chala hun main
bekar zindagi ye KHalish ke baghair thi
hath apna hadson se milane chala hun main
phir Dubne chala hun kisi ki nigah mein
phir hosh kho ke hosh mein aane chala hun main
shamen jala ke aarzuon ke mazar par
barbaadiyon ka jashn manane chala hun main
nakaam hasraton ke janaze liye hue
duniya ko apne zaKHm dikhane chala hun main
Thukra ke aaj sare sahaaron ko ai 'shafiq'
KHud apni bigDi aap banane chala hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.