dil shad nahin karte aabaad nahin karte
dil shaad nahīñ karte ābād nahīñ karte
mahsūs ye hotā hai vo yaad nahīñ karte
nāshād zamāne ke dil shaad nahīñ karte
kam-aql parindoñ ko āzād nahīñ karte
mohtāj-e-karam aksar rahte haiñ ġharīboñ ke
jo log ġharīboñ kī imdād nahīñ karte
kuchh log shikāyat ko haq apnā samajhte haiñ
kuchh log kabhī tum se fariyād nahīñ karte
ham apne irādoñ meñ rakhte haiñ tavānā.ī
ham daad ke tālib ko bedād nahīñ karte
jo aap kī niyyat kā kuchh ilm hameñ hotā
ham apnī mohabbat ko barbād nahīñ karte
is daur-e-siyāsat meñ 'mahmūd' qayāmat hai
ahbāb jo karte haiñ jallād nahīñ karte
dil shad nahin karte aabaad nahin karte
mahsus ye hota hai wo yaad nahin karte
nashad zamane ke dil shad nahin karte
kam-aql parindon ko aazad nahin karte
mohtaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke
jo log gharibon ki imdad nahin karte
kuchh log shikayat ko haq apna samajhte hain
kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte
hum apne iradon mein rakhte hain tawanai
hum dad ke talib ko bedad nahin karte
jo aap ki niyyat ka kuchh ilm hamein hota
hum apni mohabbat ko barbaad nahin karte
is daur-e-siyasat mein 'mahmud' qayamat hai
ahbab jo karte hain jallad nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.