dil-shikan subh lage sham dil-azar lage
dil-shikan sub.h lage shaam dil-āzār lage
ab safīna mirā is paar na us paar lage
bazm-e-qātil kī tarah husn kī sarkār lage
yuuñ chale baat kī chaltī huī talvār lage
be-sahārā tire vā'doñ kā mahal hai varna
ḳhūbsūrat to bahut ret kī dīvār lage
qaum ke dard se ab un ko sarokār nahīñ
ḳhūn-e-insāñ kī numā.ish ho ki bāzār lage
thā burā vaqt jab un kā to sañbhālā ham ne
din phire ab to hamīñ un ko gunahgār lage
silsila shor-e-salāsil kā yahāñ tak pahuñchā
dil bhī dhaḌke hai to zanjīr kī jhankār lage
ab ke ye mauj-e-balā dekhiye le jaa.e kahāñ
is ke pahle to kināre se ka.ī baar lage
pī ke har-dam jo rahe mast vahī mai-kash hai
rind vo kyā hai jo mausam kā gunahgār lage
yuuñ bhī hotā hai ilāj-e-ġham-e-insāñ ki 'azīz'
naam kā naam ho bīmār kā bīmār lage
dil-shikan subh lage sham dil-azar lage
ab safina mera is par na us par lage
bazm-e-qatil ki tarah husn ki sarkar lage
yun chale baat ki chalti hui talwar lage
be-sahaara tere wa'don ka mahal hai warna
KHubsurat to bahut ret ki diwar lage
qaum ke dard se ab un ko sarokar nahin
KHun-e-insan ki numaish ho ki bazar lage
tha bura waqt jab un ka to sanbhaala hum ne
din phire ab to hamin un ko gunahgar lage
silsila shor-e-salasil ka yahan tak pahuncha
dil bhi dhaDke hai to zanjir ki jhankar lage
ab ke ye mauj-e-bala dekhiye le jae kahan
is ke pahle to kinare se kai bar lage
pi ke har-dam jo rahe mast wahi mai-kash hai
rind wo kya hai jo mausam ka gunahgar lage
yun bhi hota hai ilaj-e-gham-e-insan ki 'aziz'
nam ka nam ho bimar ka bimar lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.