dil shikasta hai mera dost ki qurbat ke baghair
dil shikasta hai mirā dost kī qurbat ke baġhair
kitnā ḳhāmosh huuñ maiñ sāz-e-mohabbat ke baġhair
tangī-e-rizq-e-subū ho ki farāvānī ho
mujh ko piinā hī nahīñ ab tirī sohbat ke baġhair
qurbatoñ meñ na rahe kam-suḳhanī kā shikva
mere dukh ko vo samajh jaa.eñ shikāyat ke baġhair
mujh ko har naqsh tirā naqsh-e-qadam lagtā hai
do qadam chal na sakūñ terī rifāqat ke baġhair
ab bahar-taur hameñ honā paḌegā badnām
charche hote haiñ yahāñ kab kisī tohmat ke baġhair
inkisārī ho numāyāñ tire kirdār meñ dost
aur hai shart numāyāñ ho ra.ūnat ke baġhair
ye jo har gaam pe ehsās-e-ziyāñ hai 'ādil'
zindagī kaT na sakegī kisī vahshat ke baġhair
dil shikasta hai mera dost ki qurbat ke baghair
kitna KHamosh hun main saz-e-mohabbat ke baghair
tangi-e-rizq-e-subu ho ki farawani ho
mujh ko pina hi nahin ab teri sohbat ke baghair
qurbaton mein na rahe kam-suKHani ka shikwa
mere dukh ko wo samajh jaen shikayat ke baghair
mujh ko har naqsh tera naqsh-e-qadam lagta hai
do qadam chal na sakun teri rifaqat ke baghair
ab bahar-taur hamein hona paDega badnam
charche hote hain yahan kab kisi tohmat ke baghair
inkisari ho numayan tere kirdar mein dost
aur hai shart numayan ho raunat ke baghair
ye jo har gam pe ehsas-e-ziyan hai 'adil'
zindagi kaT na sakegi kisi wahshat ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.