dil shikwon se bhara hua hai kya likhkhun main
dil shikvoñ se bharā huā hai kyā likhkhūñ maiñ
mere paas ab yahī bachā hai kyā likhkhūñ maiñ
maiñ ne us din kis mushkil se phone kiyā thā
tum ne sun kar kaun kahā hai kyā likhkhūñ maiñ
maiñ kaise pahchān karā.ūñ pahle jaisī
merā bhī chehra badlā hai kyā likhkhūñ maiñ
ek ye Dar ki tum ye rishta toḌ na Daalo
ek ye ġham ki TuuT gayā hai kyā likhkhūñ maiñ
sochā thā vo likhūñgī jo sab likhte haiñ
phir jaane kyā kyā sochā hai kyā likhkhūñ maiñ
aañsū aañkh kināre aakar baiTh ga.e haiñ
in mehmānoñ kā ḳhadsha hai kyā likhkhūñ maiñ
maiñ ne is ko ḳhālī pyaar mohabbat samjhā
sab dhoka hai sab maayā hai kyā likhkhūñ maiñ
tum likhnā tum kaise ho aur sab kaise haiñ
ḳhat likhnā tum ko aatā hai kyā likhkhūñ maiñ
dil shikwon se bhara hua hai kya likhkhun main
mere pas ab yahi bacha hai kya likhkhun main
main ne us din kis mushkil se phone kiya tha
tum ne sun kar kaun kaha hai kya likhkhun main
main kaise pahchan karaun pahle jaisi
mera bhi chehra badla hai kya likhkhun main
ek ye Dar ki tum ye rishta toD na Dalo
ek ye gham ki TuT gaya hai kya likhkhun main
socha tha wo likhungi jo sab likhte hain
phir jaane kya kya socha hai kya likhkhun main
aansu aankh kinare aakar baiTh gae hain
in mehmanon ka KHadsha hai kya likhkhun main
main ne is ko KHali pyar mohabbat samjha
sab dhoka hai sab maya hai kya likhkhun main
tum likhna tum kaise ho aur sab kaise hain
KHat likhna tum ko aata hai kya likhkhun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.