dil si virani mein saya koi mehman to hai
dil sī vīrānī meñ saaya koī mehmān to hai
apne ḳhvāboñ se mulāqāt kā imkān to hai
kuchh na kuchh nazr to karnā hai tire jalve ko
aur daulat na sahī koī dil-o-jān to hai
kyā milegā hameñ ab us kī pashemānī se
bevafā.ī pe koī apnī pashemān to hai
yuuñ na ho ḳhud se nibhānā tumheñ mushkil ho jaa.e
ham ko nazroñ se girānā bahut āsān to hai
qāfile vāloñ ko gumrāhī kā ehsās huā
kam se kam ab kisī anjām kā imkān to hai
dil si virani mein saya koi mehman to hai
apne KHwabon se mulaqat ka imkan to hai
kuchh na kuchh nazr to karna hai tere jalwe ko
aur daulat na sahi koi dil-o-jaan to hai
kya milega hamein ab us ki pashemani se
bewafai pe koi apni pasheman to hai
yun na ho KHud se nibhana tumhein mushkil ho jae
hum ko nazron se girana bahut aasan to hai
qafile walon ko gumrahi ka ehsas hua
kam se kam ab kisi anjam ka imkan to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.