dil sikha lega agar jaur-o-jafa yaad nahin
dil sikha lega agar jaur-o-jafa yaad nahin
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
dil sikhā legā agar jaur-o-jafā yaad nahīñ
ham banā leñge agar tum sitam-ījād nahīñ
naala kal kā sā nahīñ kal kī sī fariyād nahīñ
bulbul-e-bāġh ko phir aaj sabaq yaad nahīñ
kyā kahūñ naza.a meñ kyoñ shikva-e-bedād nahīñ
dam pe yuuñ aa ke banī fursat-e-fariyād nahīñ
yaas ai shauq-e-asīrī chaman ābād nahīñ
par nikalte haiñ yahāñ aur kahīñ sayyād nahīñ
kyoñ dam-e-hashr bhī dil shākī-e-bedād nahīñ
kuchh tirī chaal to ai ġhairat-e-shamshād nahīñ
vahī naale to haiñ taaza koī fariyād nahīñ
uTh khaḌā ho bhī falak kuchh na.ī uftād nahīñ
silsila TūTnā achchhā dil-e-nāshād nahīñ
dam jagah se na uThe jis meñ ki fariyād nahīñ
log kahne ko tujhe rashk-e-parī kahte haiñ
ādamiyyat to ye hī hai ki parī-zād nahīñ
saikḌoñ ko nigah-e-nāz ne gardan maarā
maiñ na mānūñgā ki āñkheñ tirī jallād nahīñ
be-asar ashk se achchhā hai jo āñkheñ phūTeñ
nā-ḳhalaf se to ye behtar hai ki aulād nahīñ
apne par apnī hī minqār se noche maiñ ne
kyā karūñ tāb-e-farāmoshī-e-sayyād nahīñ
dil-ḳharāshī se hai kyā koh-kanī ko nisbat
nāḳhun-e-ġham se fuzūñ taisha-e-farhād nahīñ
be-ḳhudī meñ na khulā kuchh ki ḳhudā.ī kyā hai
dekh kar but ko ye bhūle ki ḳhudā yaad nahīñ
qatl kā hukm to āñkhoñ ke ishāroñ meñ huā
kahiye kuchh aur to haq meñ mire irshād nahīñ
dil nahīñ muft mile kaise dahan kā bosa
ghar meñ kuchh maal nahīñ ġhair se imdād nahīñ
kyā asīrān-e-qafas raat ko chupke so.e
aaj kuchh shikva-e-be-ḳhvābī-e-sayyād nahīñ
duur se aatī haiñ farmā.isheñ kyoñ bahr-e-suḳhan
'sho.ala' 'ġhālib' nahīñ kuchh 'zauq' sā ustād nahīñ
dil sikha lega agar jaur-o-jafa yaad nahin
hum bana lenge agar tum sitam-ijad nahin
nala kal ka sa nahin kal ki si fariyaad nahin
bulbul-e-bagh ko phir aaj sabaq yaad nahin
kya kahun naza mein kyon shikwa-e-bedad nahin
dam pe yun aa ke bani fursat-e-fariyaad nahin
yas ai shauq-e-asiri chaman aabaad nahin
par nikalte hain yahan aur kahin sayyaad nahin
kyon dam-e-hashr bhi dil shaki-e-bedad nahin
kuchh teri chaal to ai ghairat-e-shamshad nahin
wahi nale to hain taza koi fariyaad nahin
uTh khaDa ho bhi falak kuchh nai uftad nahin
silsila TuTna achchha dil-e-nashad nahin
dam jagah se na uThe jis mein ki fariyaad nahin
log kahne ko tujhe rashk-e-pari kahte hain
aadamiyyat to ye hi hai ki pari-zad nahin
saikDon ko nigah-e-naz ne gardan mara
main na manunga ki aankhen teri jallad nahin
be-asar ashk se achchha hai jo aankhen phuTen
na-KHalaf se to ye behtar hai ki aulad nahin
apne par apni hi minqar se noche main ne
kya karun tab-e-faramoshi-e-sayyaad nahin
dil-KHarashi se hai kya koh-kani ko nisbat
naKHun-e-gham se fuzun taisha-e-farhad nahin
be-KHudi mein na khula kuchh ki KHudai kya hai
dekh kar but ko ye bhule ki KHuda yaad nahin
qatl ka hukm to aankhon ke ishaaron mein hua
kahiye kuchh aur to haq mein mere irshad nahin
dil nahin muft mile kaise dahan ka bosa
ghar mein kuchh mal nahin ghair se imdad nahin
kya asiran-e-qafas raat ko chupke soe
aaj kuchh shikwa-e-be-KHwabi-e-sayyaad nahin
dur se aati hain farmaishen kyon bahr-e-suKHan
'shoala' 'ghaalib' nahin kuchh 'zauq' sa ustad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.