dil sinan par hai lab kusha phir se
dil sināñ par hai lab kushā phir se
mujh meñ barpā hai karbalā phir se
jal uThe phir se ābloñ ke charāġh
so ga.ī dasht meñ havā phir se
us kā dar hai kabhī to vā hogā
de ke dekho to ik sadā phir se
ban gayā hai harīf sūraj kā
hijr kī raat kā diyā phir se
ho ga.iiñ phir samā.ateñ patthar
harf Thahre haiñ nā-rasā phir se
phir zamīñ ne ḳhirāj māñgā hai
āsmāñ hai jhukā jhukā phir se
phir kisī sang-dil kī yaad aa.ī
dil kā shīsha chaTaḳh gayā phir se
dil sinan par hai lab kusha phir se
mujh mein barpa hai karbala phir se
jal uThe phir se aablon ke charagh
so gai dasht mein hawa phir se
us ka dar hai kabhi to wa hoga
de ke dekho to ek sada phir se
ban gaya hai harif suraj ka
hijr ki raat ka diya phir se
ho gain phir samaaten patthar
harf Thahre hain na-rasa phir se
phir zamin ne KHiraj manga hai
aasman hai jhuka jhuka phir se
phir kisi sang-dil ki yaad aai
dil ka shisha chaTaKH gaya phir se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.