dil sulagta hai na ab yaad koi aati hai
dil sulagtā hai na ab yaad koī aatī hai
gard sī hai jo ḳhayāloñ pe jamī jaatī hai
duur peḌoñ se ulajhtī hai har āñdhī lekin
zard pattoñ ko mire ghar meñ uThā laatī hai
karne aatī hai munavvar dil-e-har-gosha-e-dard
chāñdnī shahr kī galiyoñ meñ bhaTak jaatī hai
dil kā barbād jahāñ jab bhī kabhī dekhtā huuñ
apne nākām irādoñ pe hañsī aatī hai
vo hai kis des meñ kis shahr meñ huuñ maiñ 'jamshed'
bas isī soch meñ har raat guzar jaatī hai
dil sulagta hai na ab yaad koi aati hai
gard si hai jo KHayalon pe jami jati hai
dur peDon se ulajhti hai har aandhi lekin
zard patton ko mere ghar mein uTha lati hai
karne aati hai munawwar dil-e-har-gosha-e-dard
chandni shahr ki galiyon mein bhaTak jati hai
dil ka barbaad jahan jab bhi kabhi dekhta hun
apne nakaam iradon pe hansi aati hai
wo hai kis des mein kis shahr mein hun main 'jamshed'
bas isi soch mein har raat guzar jati hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 580)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.