dil taDap jae na kyun sun kar fughan-e-ahl-e-dard
dil taḌap jaa.e na kyuuñ sun kar fuġhān-e-ahl-e-dard
un se pūchho jo samajhte haiñ zabān-e-ahl-e-dard
ek se ik baḌh ke hai dilchasp dilkash dil-sitāñ
hāl-e-dil afsāna-e-ġham dāstān-e-ahl-e-dard
ye to kahiye muñh se ik uf tak kisī ne kī kabhī
le chuke haiñ aap aksar imtihān-e-ahl-e-dard
haath dho le jaan se koī to jī bhar kar sune
jāñ-sitān-e-ahl-e-dil hai dāstān-e-ahl-e-dard
kis ke aage dard-e-dil apnā kahoge tum 'shafaq'
koī duniyā meñ nahīñ ab qadr-dān-e-ahl-e-dard
dil taDap jae na kyun sun kar fughan-e-ahl-e-dard
un se puchho jo samajhte hain zaban-e-ahl-e-dard
ek se ek baDh ke hai dilchasp dilkash dil-sitan
haal-e-dil afsana-e-gham dastan-e-ahl-e-dard
ye to kahiye munh se ek uf tak kisi ne ki kabhi
le chuke hain aap aksar imtihan-e-ahl-e-dard
hath dho le jaan se koi to ji bhar kar sune
jaan-sitan-e-ahl-e-dil hai dastan-e-ahl-e-dard
kis ke aage dard-e-dil apna kahoge tum 'shafaq'
koi duniya mein nahin ab qadr-dan-e-ahl-e-dard
- Book : Noquush (Pg. B-407 E-417)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.