dil taDapta hai subh-o-sham paDa
dil taḌaptā hai sub.h-o-shām paḌā
yā-ilāhī ye kis se kaam paḌā
nā-tavānī madad kare apnī
tere dar par rahūñ mudām paḌā
qābil-e-bandagī nahīñ to nahīñ
kab gale aa ke ye ġhulām paḌā
mai-kada ḳhālī hai na mai na muġhāñ
ḳhum-o-ḳhum-reza hai tamām paḌā
kyā hue rind jin se raunaq thī
Thokareñ khāve hai ye jaam paḌā
kaun leve vo naam 'fidvī' kā
ab to sab ke ye muñh meñ naam paḌā
dil taDapta hai subh-o-sham paDa
ya-ilahi ye kis se kaam paDa
na-tawani madad kare apni
tere dar par rahun mudam paDa
qabil-e-bandagi nahin to nahin
kab gale aa ke ye ghulam paDa
mai-kada KHali hai na mai na mughan
KHum-o-KHum-reza hai tamam paDa
kya hue rind jin se raunaq thi
Thokaren khawe hai ye jam paDa
kaun lewe wo nam 'fidwi' ka
ab to sab ke ye munh mein nam paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.