dil talabgar-e-tamasha kyun tha
dil talabgār-e-tamāshā kyuuñ thā
ya.anī hasrat-kash-e-duniyā kyuuñ thā
din bahar-hāl guzar hī jaate
dil kā ehsān uThāyā kyuuñ thā
saḳht begāna thā lekin yā-rab
itnā mānūs vo chehrā kyuuñ thā
juz ġhazal ḳhaak thā dāman meñ mire
us ne phir pyaar se dekhā kyuuñ thā
vo agar merī rasā.ī meñ na thā
aa.ine meñ koī vaisā kyuuñ thā
aañkh ko shauq ki dekhe us ko
dil kā pachhtāvā ki dekhā kyuuñ thā
hāsil-e-bazm hai parvāne kī raakh
raat bhar sham' kā charchā kyuuñ thā
sub.h ke naam se ghabrātā huuñ
jī ko raas aayā añdherā kyuuñ thā
sohbat-e-gul-badanāñ meñ 'shohrat'
dil meñ kāñTā sā khaTaktā kyuuñ thā
dil talabgar-e-tamasha kyun tha
yani hasrat-kash-e-duniya kyun tha
din bahar-haal guzar hi jate
dil ka ehsan uThaya kyun tha
saKHt begana tha lekin ya-rab
itna manus wo chehra kyun tha
juz ghazal KHak tha daman mein mere
us ne phir pyar se dekha kyun tha
wo agar meri rasai mein na tha
aaine mein koi waisa kyun tha
aankh ko shauq ki dekhe us ko
dil ka pachhtawa ki dekha kyun tha
hasil-e-bazm hai parwane ki rakh
raat bhar sham' ka charcha kyun tha
subh ke nam se ghabraata hun
ji ko ras aaya andhera kyun tha
sohbat-e-gul-badanan mein 'shohrat'
dil mein kanTa sa khaTakta kyun tha
- Book : shab-e-aaina (Pg. 187)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.