dil talabgar sahi hashr-ba-daman kyun hai
Interesting Fact
April 1962
dil talabgār sahī hashr-ba-dāmāñ kyuuñ hai
nāla-zan sho.ala-ba-kaf shauq-e-farāvāñ kyuuñ hai
mahfil-e-sāz-o-tarab matl.a-e-vīrāñ kyuuñ hai
sheva-o-sabr-o-sukūñ dil se gurezāñ kyuuñ hai
khīñch laayā thā jo us dil ko tirī mahfil meñ
vahī andāz-e-nazar aaj pashemāñ kyuuñ hai
surañgoñ raah meñ har-gām huā jaatā hai
muzmahil ḳhū-e-safar dard pashemāñ kyuuñ hai
talḳhī-e-kām-o-dahan kashmakash-e-zehn-o-vajūd
ek hastī ke liye ye sar-o-sāmāñ kyuuñ hai
dasht-paimā.ī meñ bhī vahshat-e-jāñ itnī na thī
tishnagī sāhil-e-dariyā pe hirāsāñ kyuuñ hai
dil talabgar sahi hashr-ba-daman kyun hai
nala-zan shoala-ba-kaf shauq-e-farawan kyun hai
mahfil-e-saz-o-tarab matla-e-viran kyun hai
shewa-o-sabr-o-sukun dil se gurezan kyun hai
khinch laya tha jo us dil ko teri mahfil mein
wahi andaz-e-nazar aaj pasheman kyun hai
surangon rah mein har-gam hua jata hai
muzmahil KHu-e-safar dard pasheman kyun hai
talKHi-e-kaam-o-dahan kashmakash-e-zehn-o-wajud
ek hasti ke liye ye sar-o-saman kyun hai
dasht-paimai mein bhi wahshat-e-jaan itni na thi
tishnagi sahil-e-dariya pe hirasan kyun hai
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 171)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.