dil talak aa hi gae ashk wo bahte bahte
dil talak aa hī ga.e ashk vo bahte bahte
ho ga.e kitne qarīñ duur vo rahte rahte
bachpane meñ thā jinheñ duur kiyā apnoñ ne
ho ga.e haiñ vo javāñ zulm ye sahte sahte
kaañp jaate haiñ tire hoñT ye har baar hī kyoñ
maiñ tumheñ pyaar nahīñ kartī ye kahte kahte
mauj-e-dariyā ke bharose pe chale jaate haiñ
lag hī jā.eñge kināre kabhī bahte bahte
ik jhalak dekhne aa.e the tirī ham to yahāñ
'shams' rah jaa.eñ na is shahr meñ rahte rahte
dil talak aa hi gae ashk wo bahte bahte
ho gae kitne qarin dur wo rahte rahte
bachpane mein tha jinhen dur kiya apnon ne
ho gae hain wo jawan zulm ye sahte sahte
kanp jate hain tere honT ye har bar hi kyon
main tumhein pyar nahin karti ye kahte kahte
mauj-e-dariya ke bharose pe chale jate hain
lag hi jaenge kinare kabhi bahte bahte
ek jhalak dekhne aae the teri hum to yahan
'shams' rah jaen na is shahr mein rahte rahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.