dil tamasha hai tamasha-gar nahin hai yar ji
dil tamāsha hai tamāshā-gar nahīñ hai yaar jī
so zabāñ bhī chup rahe behtar nahīñ hai yaar jī
ham jahāñ jis baat par majbūr haiñ āmīn hai
aap ko apne ḳhudā kā Dar nahīñ hai yaar jī
dastakoñ ke ḳhauf tak to baat aa.egī nahīñ
ham haiñ vo dīvār jis kā dar nahīñ hai yaar jī
ek markaz aap haiñ jis kā bane ham dā.era
apnā koī dūsrā mehvar nahīñ hai yaar jī
rāste be-samt haiñ so manziloñ kī fikr kar
kārvāñ kā koī bhī rahbar nahīñ hai yaar jī
muflisī meñ ḳhvāb hoñ to ḳhaak achchhī baat hai
dekh kar hai faisla sun kar nahīñ hai haar jī
ik zamāna do farishte laakh 'sāhib' saath hoñ
kam lagegī kul ḳhudā.ī gar nahīñ hai yaar jī
dil tamasha hai tamasha-gar nahin hai yar ji
so zaban bhi chup rahe behtar nahin hai yar ji
hum jahan jis baat par majbur hain aamin hai
aap ko apne KHuda ka Dar nahin hai yar ji
dastakon ke KHauf tak to baat aaegi nahin
hum hain wo diwar jis ka dar nahin hai yar ji
ek markaz aap hain jis ka bane hum daera
apna koi dusra mehwar nahin hai yar ji
raste be-samt hain so manzilon ki fikr kar
karwan ka koi bhi rahbar nahin hai yar ji
muflisi mein KHwab hon to KHak achchhi baat hai
dekh kar hai faisla sun kar nahin hai haar ji
ek zamana do farishte lakh 'sahib' sath hon
kam lagegi kul KHudai gar nahin hai yar ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.